Breaking

Showing posts with label ANDROID PHONE KI LOCATION SERVICES OFF KAISE KAREIN. Show all posts
Showing posts with label ANDROID PHONE KI LOCATION SERVICES OFF KAISE KAREIN. Show all posts

Monday, January 28, 2019

January 28, 2019

ANDROID PHONE KI LOCATION SERVICES OFF KAISE KAREIN

Doston aapke phone me Location services ek khaas features hai lekin saath hi iske saath kuch samsya bhi hai. Sabse pehli baat ki ye aapke phone ki battery ki khapat ko badha deta hai aur aapke location sharing ki details bhi kisi anjane source ke haath lag sakti hai. Isliye agar aap jaanna chahte hain ki Android Phone Ki Location Services Off Kaise Karein ish post ko pura padhiye.

Apne Phone Ki Location Services Kaise Off Karein?

Kisi Khaas mauke ya kaam ke liye Location Services ko use karna bahut accha ho sakta hai. Lekin aap kisi bhi reason ke wajah se apne Android phone ke Location Service ko off karna chahte hain to definitely main isme aapki Help karunga. To dekhiye How to Turn Off Location Services On Android.
Step1. Doston Sabse Pehle to apna Phone On kijiye aur settings menu ko find Kijiye. Ab jab aapko settings menu icon mil gaya hai to aap wanha click kar dijiye. Ab dekhte hain next kya karna hai.
Step2. Settings menu ke open hone ke baad aapko “Location” Section dhundhna hai. Ho sakta hai aapka location tab sabse upar ho ya nahi to aap scroll karke niche ki traf aa jaiye aapko Location section mil jayega.
Step3. Ab aap jaise hi loction ke upar click karenge to aapko top me right corner On ya Off Karne ke liye slider button dikhai dega wanha aap button ko slide karke location service ko off kar dijiye. Bus ho gay aapke phone ki location service band ho gai hai.
Lekin agar aap Location on rakhte hain to yanha aap “Mode” of Location Service me change kar sakte hain, Jaise Location Services to high accuracy, Battery Saving or Device Only. Ab Thoda in different modes ke bare me jaan lijiye. High Accuracy mode me GPS, Wi-Fi, aur mobile networks ko use kar ke mobile locations batai jaati hai. Battery Saving mode me Wi-Fi aur mobile networks ka use kar ke aapko location batai jaati hai. Aur third mode me GPS ko determine kar ke location batai jaati hai.
Aap apni suvidha anusar koi bhi mode chun sakte hain.
Yanha tak to aapne location services ko off karne aur ya kaun se mode me aapki location service honi chahiye iski jaankari mil gai ab location services ki history kaise delete karenge aaiye dekhte hai.

Location Service Ki History Delete Kaise Karein?

Aapne jo location menu open kiya hai wanha mode ke baad recent location requests dekhte hain janha aapke wo app show hotey hain jo location services ka request ka karte hain ya wo apps location based hoti hai.
Wanhi aapko “Google Location History” ka option nazar aata wanha click karne ke baad jo window open hoti hai wanha aap top pe ye dekh sakte hain ki aapki kaun si gmail id location service se connect aur kaun sa device abhi connected hai. Bus aapko bottom pe dekhna hai wanha aapko ya to “Delete Location History” Ya “Manage Activates” show hota hai.
Jinke Phone me delete location history ka option wo to wanha click kar ke direct sabhi location History ko delete kar payenge. Lekin Jinke phone me manage activities ka option unhe 3 step aura age karne honge. To ab mange activities par click kijiye Click karne ke baad aap google map me enter ho jaatey hain wanha top me right corner me aapko three dots dikhte bus aapko wanha click karna hai, uske baad ek Menu show hota hai janha Settings ka bhi ek option hai wanha Click karne ke baad scroll kar ke niche jayein.
Yanha aap do kaam kar sakte hain aap
1.agar nahi chahte ki meri location ki history delete ho lekin wo kisi ko show bhi na ho to aap Loction ki history ko off kar sakte hain.


2. Delete all Location History par click kar ke aap saari location history delete kar sakte hain. Haan ye dhyaan rahe ki agar aapne to saari loction service ki history google ke databse delete ho jaati hai.

Suggestions:-

Finally Main aapko suggest karunga ki aap jarurat padne par hi apni location services ko on kar karein. Maps ya Location based app ko access karte time hi GPS ko on karein. Ya aap humesa location service ko on rakhte hain to to mode change kar lein jissey ki aapki baatery long time tak chale. Aur ye security purpose ke liye bhi sahi hai.

Toh Aapko ye post kaisa laga aur aap apne phone ki location service ko kaise use karte hain. Hume comment me jarurat batayein. Ish post ko dusre bhi connect ho to share karna na bhulein. Aur haan aap humare Youtube Channel ko subscribe kar ke aise hi dekh videos dekh sakte hain.